Safar e Hajj Mubbarik

Hazrate Ali (Razi’Allahu Anhu) Farmate Hain Ki,
Huzoor-e-Paak (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Jo Shakhs Raah Ke Kharch Aur Baitullah Sharif Tak Pahucha Dene Wali Sawaari Ka Kharch Ka Maalik Ho
Aur Fir Usney Hajj Nahi Kiya Tou Uske Yahudi Ya Nasrani Ho Ker Marne Me Koi Fark Nahi
Aur Yeh Isliye Ki Quraan Majid Me Hain Ki Allah-e-Ta’ala Ke Liye
Baitullah Ka Hajj Karna Logon Per Farz Hain, Jab Ki Hajj Ke Saare Zaruri Kharch Ka Maalik Ho!”
– (Tirmizi Sharif)

Hazrat-e-Abdullah Ibne Abbas(RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Irshad Farmate Hai –
Jabh Hazrat-e-Ibrahim (Alaihay Salam) Khaana-e-Kaaba Ki Tameer Muqammal Kar Liye Tou Allah Ta’ala Ki Bargaah Me Marooza Kiye –
‘Ilaahi Maine Tameer Muqammal Kar Li Hai!’
Tabhi Allah Ta’ala Ne Hukm Farmaya – ‘Logon Mein Hajj Ka Ailaan Karo” Unhone Arz Ki Ilaahi Meri Aawaz Kaise Pahuchegi.?
Allah Ta’ala Ne Irshad Farmaya – ‘Aawaz Dena Tumhara Kaam Hai Aur Usey Pahuchana Humare Zimme Hai’.
Hazrate Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Arz Kiya – ‘Ilaahi Mai Kin Kalimaat Se Ailaan Karu.?’
Allah Ta’ala Ne Farmaya – Iss Tarah Karo ‘Aye Logon Tum Par Hajj Farz Kiya Gaya Mu’azzaz Aur Mukkaram Ghar Kaabatullah Ka Hajj Tum Par Farz Kiya Gaya’.
Toh Zameen Aur Aasmaan Ke Darmiyan Jitni Makhlooq Thi Sab Ne Aapki Aawaz Suni Yahi Wajah Hai Ke Tum Dekhte Ho Ke Hujjaj Zameen Ke Koney Koney Se Labbaik Labbaik Kehte Huwe Hajj Ke Liye Aate Hai.
– (Al Mustadrak Al Saheeheen Lil Haakim Hadees No 3421)

bu Huraira (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Ek Umarah Se Dusrey Umrah Tak Jitne Gunaah Ho Umrah Uska Kaffara Ban Jata Hai
Aur Maqbool Hajj Ka Koi Badla Nahi Siwaye Jannat Ke”.
– Sunan Ibn Majah, Vol 1, H#1045 (Sahih)

*Hajj Ek Aisi Ibadat Hai Jo Tamam Sahibe Istehaat Musalmano Par Farz Hai
Lekin Hajj Ki Niyat Sirf Allah Ki Ibadat Ho, Aur Dikhawe Se Paak Ho..
*Bilkhusus Hajj Wo Ibadat Hai Jo Dikh Kar Aati Hai
Aur Allah Ke Nazdiq Aisi Ibadat Hargiz Qabile Qabool Nahi Jisme Riyakari Shamil Ho.

Iss Saal AlhamduLillah Hazrat Qibla Khawaja Sharaf Ud Din sahib Maharvi Shaheedi Or Hazrat Qibla Khawaja Fateh Muhammad Sahib Maharvi Shaheedi Ny Faeeza e Hajj ada kia. AlhamduLillah

Post a Comment

1 Comments

Emoji
(y)
:)
:(
hihi
:-)
:D
=D
:-d
;(
;-(
@-)
:P
:o
:>)
(o)
:p
(p)
:-s
(m)
8-)
:-t
:-b
b-(
:-#
=p~
x-)
(k)