Naat Sharif By Ahmad Nadeem Qasmi
Kuch nahi mangta Shahoon sy ye shaida Tera
Iss ki Doulat hai Faqat Naqsh e Kaf e Paa Tera
Loog kehtay hain ky Saya Tere Paiker ka na tha
mein tou kehta hoon Jahan bhar pe hai Saya tera
Aik baar or bhi Taiba st Falasteen {Palestine} mein aa
Rasta Dekhti hai Masjid e Aqsaa Tera
Poray Qad sy jo khara hoon tou ye tera hai Karam
Mujh ko jhuknay nahi deta hai sahara Tera
Mashriq u magharib mein bikhray howay gulzaroon ko
nighateen banta hai ajj bhi sehra tera
Dastgeeri meri Tanhai ki Tou nay hi to ki
mein to mar jata jo hota na shahara tera
Teh ba teh teergiyaan Zehn mein jab lutti hain
Noor ho jata hai Kacha or Hawada tera
Kuch nahi sojhta jab piyaas ki shidat mein mujhy
chalak uthta hai mere roh mein meena tera
mein tujhy alam e asia mein bhi Paa leta hoon
loog kehtay hain k alam hai bala tera
merii ankhooon sy jo dhondeen tujhy har soo dekhain
sirf khilwat mein jo kartay hain nazara tera
woh andherroon sy bhi darana guzar jatay hain
jin k mathay mein chamkta hai sitara tera
nadiya ban k paharoon mein to sb ghoomtay hain
raig zaroon mein bhi behta raha darya tera
TUJH SY PEHLAY KA JO MAZI THA HAZAROON KA SAHI
ABB JO TA HASHAR KA FARDA HAI, HAI TANHA TERA
0 Comments