Hazrat Khawaja Nizam Ud Din Auliya Mehboob E Ilahi R.A ka Farman E Aali Shan hai ky "K Jab mein Baba Sahib Qibla r.a k Wisaal k baad Pakpattan shraif hazir howa to iss jagha (Jahan Ajj Baab E Jannat ya Bahishti Darwaza hai) per Nabi E Akram Sal Lallah hu alay hy wa aly hi wasalam or 4 Khulfa e Rashdeen ki Ziarat ki or Rasool e Kareem Sal Lallah hu aly hy wa Aly hi wasalam ny Farmaya
"Jo iss Jagha sy Guzar Geya wo aman mein aa geya"
Iss Qoul E Mubbarika K baad is Jagha ko Bahishti Darwaza Kaha Jata hai.
Abb Ayie Zara is ki Daleel UL aqal sy wazahat kar lain
Kuch Loog Iss baat pe Aitraz kartay hain k Duniya mein Jannat ka Darwaza Kese ho sakta hai?
To iss Baat ka Jawab sirf Itna hai K Allah Rab Ul Izat Ny To Jannat bhi Duniya mein hi Rakh di hai, Har Shaks ki Jannat us k maa k Qadmoo mein hai. Jo Rab Maa k Qadmoon mein Jannat rakh sakta hai kia wo Apnay Meboob Banday k Qadmoo mein Jannat ka Darwaza nahi rakh sakat?
agar az roye hadees e Mubbarika Dekha jaye to Hadees Sharif mein aya hai k "Momin Ki Qaabar janat k Baghoon mein sy aik hai" Hazraat E Zi Waqar Hazrat Baba Fareed Ud Din Masood R.A ki Tamam Hayat Deen e Muhammadi Sal Lallah Hu alay wa aly hi wasalam pe amal karatay howay or Mukhlooq e Khuda sy Muhabbat kartay howay guzri hai or Hameen Iss baat per Yaqeen e Mokham hai k Hazrat E Wala ki Marqadd e noor hu bila shuba Jannat ka wasih bagh hai. Kuch Na samjh loog Bila souchay samjhy Baab e jannat pe aitraaz farmatay hain unki itlah k leay arz hai hamaray leay to Har wali Allh ki Qabar e Athar Bagh e Jannat or Us ka Darwaza Baab e Jannat ki Hasiyat Rakhta hai.
Kia Iss Darwazay sy Guzaranay wala Waqiya hi Jannati hai??
Yahan aik Qabil E ghoor Nukta arz karta Chaloon Bila Shuba Hazrat Mehboob eIlahi R.A nay Jo farmaya hameen Harf ba harf us per Yaqeen hai magar Yahan Kuch Sharait bhi hain.
Hameen Hazrat k Faqat issi Qoul ko apnay uper lgoo nhai karna balkay ye bhi dekhna hai k hazrat k diger Qoul or Hazrat ki Hayat e Taiba Hameen Kia dars deti hai.
Ye har Fasiq u Fajir Zani or Zalim k leay nahi hai k saal bhar gunnah karay or Phir khaye k mein Jannati ho geya hoon.
Balkay agar koi Gunaghar aye bhi To sidq E dill sy tauba karay or Baad mein us tauba pe Qaim rehtay hoo apni zindagi shariat e Muhammadi sal lallah hu alay wal all hi wasalam ky mutabaiq Guzaray or Gunahoon sy bachta rahay to Allah KareeM iss Jagha k sadqy sy us ky Pehlay sir zard honay walay gunnah Maaf farma day ga.
3 Comments
ماشاءاللہ...
ReplyDeleteبہت خوب فرمایا صاحبزادہ صاحب
اللہ کرے زورِ قلم اور زیادہ
ReplyDeleteDunia mein ek hi Jannat ka tukra hai aur Wo Hazoor Sal Allahu Alihi Wasallam Ki qabar mubarak se le kar un k mimbar tak ka tukra hai jo k Riyaz ul Jannah kehlaata hai. Nabi Kareem Sal Allahu Alihi Wasallam ne khutba e hijat ul wadah mein ham par ye deen Mukammal kardia hai, is mein izafa karna Bid'at hai, tamam bid'at zalalat hai aur ye zalalat Dozakh ki aagh ki taraf le kar jayegi. Bara-e-Mehrbani logon ko gumrah na karen. Allah aapko hidayat de.
ReplyDeleteAllah knows best.